Jis Tirange ki shaan ke liye lada
Ussi Tirange mein lipta hu
Phir Bhi Lagta hai, Meri Qurbaani bohot chhoti hai iss samman ke liye,
Kyunki main paida hua hi tha Shaheed hone ke liye
Bacchpan se pyaar tha apne Desh ke liye
Khoon khaulta tha dushmanon ke kartooton par
Wo din Garv Ka tha jab mujhse Kahan gaya, "tum taiyyar ho Khakee Vardi ke liye"
Garv iss bat Ka Bhi hai ki main paida hua hi tha Shaheed hone ke liye
Sarhad, meri maa ki Tarah Mera khayal karti, Ghar mein har pal Maa ko Meri chinta Hoti
Maa se kehna, Nahi Raha main aur Mera kuch, fikra Karne ke liye
Kyunki mai paida hua hi tha Shaheed hone ke liye
Vardi, Pitaji ki Tarah meri Raksha Karti Kabhi gir jaau toh uthne Ka hausla deti
Iss janam mein Kuch aur Nahi par naam kamaya Pitaji ke liye
Pata hai ki unka sar Garv se ooncha hua hai, kyunki Woh Bhi jaante hai ki main paida hua hi tha Shaheed hone ke liye
Behen ki bhijvaayi hui Raakhi har waqt pehne rakhta tha
Iss bar uski raakhi mil Nahi paayi, kyunki sarhad par bohot chinta thi
Ab tujhe mujhse poochna Nahi padega meri cheezon ko choone ke liye
Kyunki main paida hua hi tha Shaheed hone ke liye
Jinse khoon Ka rishta tha unse door, Deshvasiyon ke liye ladta Raha
Aapko Mera shukra guzar hone ki koi jaroorat Nahi
Na hi Kisi samman ki aas mein hu main
Sirf apno ko batana ki Bharat ke Jawan imaandar aur mehanati hai
Jaate jaate yahi kahunga ki Kuch Accha Karo Apne Desh ke liye
Laaj rakho uss Hindustani Jawan ki Jo paida hua hi tha Shaheed hone ke liye
Jai hind,
-Suha Mutwalli
© None of the articles can be posted without the permission of the article writer
Author : suha mutwalli
Comments